जानिए कैलुलाह करना आपकी सेहत के लिए कितना फायदेमंद है । Benefits of Mid Day Napping

Qailulah (कैलुलाह) ka matlab hota hai dopahar me sona. Ise Mid-Day-Napping ke nam se bhi jana jata hai yani दिन के मध्य में झपकी लेना. Bahut se log dopahar me sone ko galat samajhte hain. Lekin dophar me sona aapki sehat me ek hariyali la sakta hai. sabhi logo ki to kah nahi sakte lekin Qailulah karne se aksar logo ko fayda hi hota hai. dopahar me sone ka matlab ye nahi hai ki aap 6 ghante tak sote hi rahe. Qailulah ka matlab ye hai ki dopahar me 15 se 30 minute ki jhapki lena. Ye 15 se 30 minute ki jhapki aapki sharir ko chust aur fresh kar degi. Isliye aaj hum iske bare me detail se baat karenge.

din me neend kaise kare aur kya fayde hai

Muslim logo ko Qailulah ke fayde aur iske bare me achhi tarah se pata hota hai kyonki Prophet Muhammad Sallallahu Alaihiwasallam bhi Qailulah kiya karte the aur muslimo ko isko karne ke liye bhi kaha hai. isliye bahut sare muslim log is tarike ko follow karte hain.

Dopahar Me Sone Ke Fayde Aur Nuksan

Dophar ki jhapki ko bahut se bahut se doctors ne sehat ke liye bahut faydemand bataya hai. isse imunity (रोग प्रतिरोधक शक्ति) majboot hoti hai.

-Researchers (शोधकर्ताओं) ka manna hai ki Qailulah karne se heart (दिल) se sambandhit beemari hone ki sambhawna kam hoti hai.

-Dimag (mind) fresh rehta hai aur khana achhi tarah se hajam ho jata hai.

-Blood blood circulation (रक्त परिसंचरण) niyantrit rahta hai.

-Mid-Day-Napping Se kaam me accha man lagta hai.

-Tension (तनाव) aur chidchidapan dur ho jata hai.

Dopahar me sone ka koi nuksan to nahi hai lekin bahut se aise logo ko din me sone se kuch pareshani ho sakti hai jinka sharir din me sone ko allow nahi karta.Tanav dur karne ke liye aapko stroy bhi padh leni chahiye.

  • Bahut logo aise bhi hote hain jo din me sone ke karan night me neend (नींद) nahi kar pate hain. Isliye unko chahiye ki woh fix kare ki din me kitni der tak sona hai. din me jyada der sone se rat me neend nahi aati hai to din me kam sona chahiye.

Din Me Kitni Der Sona Chahiye

Sehat ki acchi tandrusti ke liye aapko din me 1-2 ghante sona chahiye lekin apne kaam ki wajah se agar aap 1 ghante bhi nahi so pate hain to aapke liye 15 se 30 minute ki jhapki le leni chahiye. 15-30 minute tak sona bhi aapke liye bahut fayda de sakta hai.agar aap bahut jyada thake huye hain aur aadha ghante sone ke bad bhi aapko neend aaye to aapko 1 hour 30 minute tak so lena chahiye. Isse aapki thakan dur ho jayegi.

Din me sone ke liye apna ek time fix kar le ki is time aapko sona hi sona hai apne sare kaam chhod kar bhi thode samay ki napping jarur puri kar le.

Mahila aur bachho ko young man se jyada neend ki jarurat hoti hai isliye khas karke mahila or bachho ko din me kam se kam 1-2 ghante sleeping kar lena chahiye.

Excersize (व्यायाम) Karne Ke Kitni Der Bad Sona Chahiye?

Excersize karne ke bad thak jana swabhawik hai lekin workout karne turant bad nahi sona chahiye. Researchers ka manna hai ki work out karne ke kam se kam 2 hours baad me sona chahiye.

Agar aapne khana khaya hai to khane ke bhi turant baad sone ki koshish na kare. Khana khane aadha ghante kam se kam 1 ghante bad aapko so jana chahiye.agar khana khane ke bad aapko neend aane lagti hai to kam se kam 30 minute ka gape rakhna jaruri hai. agar aapka sharir aaram magta hai to aapko khane ke aadha ghante bad so jana chahiye.

Kya Din Me Sona Sabhi Ke Liye Zaruri Hai ?

Bahut se log aise bhi hote hain ki unko din me sone se takleef hoti hai aur who sleep bhi nahi kar sakte hain. Yani bahut se logo ke sharir din me sone ka aadi nahi hota hai.

Bahut se logo ke sharir ko aaram ki jarurat nahi hoti hai aur unko din me sone se koi fayda bhi nahi hota hai. isliye aise logo ko din me sleep karne se bachana chahiye. Ek study ki report ke anusar 50% logo ko din me sone se kuch bhi fayda nahi hota hai kyonki aise logo me circadian rhythm (सर्कडियन लय) hota hai. ye hume batata hai ki aapke sharir ko aaram ki jarurat hai ya nahi, kab sona hai aur kab jagana hai.isliye agar aapko din me neend nahi aaye to samajh lena chahiye ki aapke sharir ko neend ki jarurat nahi hai.
Ab aap samajh gaye honge ki din me sona aadmi sehat ke liye kitana faydemand hota hai.lekin aapko iska ek schedule bana lena chahiye aur doctor ki salah ke anusar kaam karna chahiye. Jisse aapko aur adhik labh ho sake. Bye Take Care !

Leave a Comment