11 SEO Tips To Rank Your Site or Blog in Search Engines in Hindi

How To Solve The Biggest Problems With Ranking By 11 SEO Tips. Agar aapne apni website blog ka behatar dhang se design kiya hai to aapki site par aane wale visitors aapki site ko like to karenge. Lekin ye baat to aap jante hain ki Google, Bing etc. search engine me top ranking pane ke liye site ka design koi mayne nahi rakhta. Kyonki ek good looking wali site is bat ki guaranty nahi deti hai ki wah search engine me first page par show hogi. Isliye aaj is post me main aapko search engine me site ki high ranking ke liye kuch SEO Tips ke bare me bataunga.

11 seo tips to rank your site or blog to search engine blog post ko jaldi search engine me lane ka tarika apne blog ko search engine me rank kaise karwaye keyword kaise use kare post me seo ki puri jankari. search engine optimzation kaise kare, apne blog ka seo kaise kare hindi me puri jankari

Aapke ek wordpress site ho ya ek blogger blog dono ke liye Search Engine Optimization ek aisa way hai jisse aap apne blog or website ko search engine me rank kara sakte ho. agar aapki site seo ke opposite chal rahi hai to samajh lijiye aap blogging me fail hone ki kagar par hain. seo bhi do tarah ka hota hai ek black hat seo and dusra white hat seo. aapko yah bhi dhyan rakhna jaruri hai ki aap kaunse seo ko follow kar rahe hain. agar aap black hat seo ko follow karte hain to google se ummid hi chhod dijiye google balck hat seo ko napasand karta hai. agar aapko apne blog ka grow karna hai to white hat seo ka use kare aur har ek cheez me jaha par bhi optimization ki jarurat hai waha par seo se optimize kare.

  • Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye – 11 Badhiya Tips Hindi Me

SEO Se Aap Kya Samajhte Hain?

Seo ka matlab Search Engine Optimization hota hai. But SEO apni website par traffic badhane aur search engine result me aapki site ko dikhane ka ek tarika hai. Yani agar aap SEO ko follow karte hain to aapki site usi hisab se search engine me show hogi jis tarike se aapne SEO ko follow kiya hai. Aap Apne blog or website ko jitna percent SEO optimized banaoge thik utna percent hi aapke blog ki search ranking hogi aur usi percentage ke hisab se aapki site “Google, Bing aur Yahoo jaise search engine list me rank karegi.

Search Engine Me Site Top Ranking Banaye Rakhne Ki SEO Tips

ahut se site user apni site par traffic pane ke liye paid tariko ka use karte hain jo ki adsense user ke liye thik nahi hai agar aap apni site par adsense use karte hain to aapko pata hoga ki adsense paid traffic ko allow nahi karta hai. So is post me main aapko aise 11 seo tips bata raha hu jo aapki site ko search engine me top ranking par le jane me madad karegi.

1. What The Post Title Should Be

Aapne apne blog par bahut si post likhi hongi kabhi aapne apni post title ke bare me gaur kiya hai. Bahut se blogger post title ko ignore kar dete hain aur jaisa man me aata hai waisa hi title rakh lete hain jo ki SEO ke bilkul opposite hai.

Apni post ka aisa title rakhe jisko dekhte hi pata chal jaye ki is post me readers ko kya jankari milegi. Search engine me search karne par user ka sabse pehla focus aapki post title par jata hai aur wo samajh jata hai ki aapki post kis bare me hai. Agar post ka title aapki post se match khata hai to user ko aapke blog par koi confusion nahi hogi. Isliye wah aapki site par vishwash karne lagega aur samjhega ki is site par ekdam sateek or helpful jankari milti hai. Simple shabdo me kahe to user ko aapki post me wah jankari milegi jis jankari ke liye wah search kar raha tha.

Bahut se blogger logo ko attractive karne ke liye post title bilkul alag rakhte hain aur post me jo jankari dete hain wo alag dete hai. is tarah ke title ko clickbait title kahte hain. aise title choose karne wale blogger ki baat aksar ye hoti hai ki unchi dukan feeke pakwan ya hathi ke daant khane ke alag hote hain aur dikhane ke alag hote hain.

2. What Keywords Are Used

Aapki site ko search engine me top ranking par lane ke liye keyword bahut important hai. Agar aap bina keyword use kiye post likhte hain to bahut kam chance hai ki aapki site search engine me show ho jaye. Because keyword ke madhyam se hi aapki post user ke samne jump marti hai. Jab user kisi bhi cheez ke bare me jankari lena chahte hain to ye keyword unki madad karte hain. Aapki post ke andar kam se kam 2 percent keyword jarur hone chahiye.

So mera aapse kahne ka matlab ye hai ki search engine ka bhi ek alag tarika hota hai. jiske hisab se wah post ko show karta hai. Isliye jo Search Engine Optimization friendly post likhta hai wo hi top par aata hai.

3. Why Is A Sitemap Necessary

Sitemap aapki site par publish post ke sabhi url ka ek xml page hota hai jisme aapki site ke sabhi url hote hain. Sitemap webmaster ko yah batata hai ki aapki site me kitne link hain. Iske alawa search engine robots aapki site ke sitemap ko dekhkar yah sunishchit karte hain ki aapki site par kya jankari hai. Isliye sitemaps aapki site ko search engine me show karne ke liye robots ki sahayata karte hain.

Sitemaps search engine robots ko aapki site par post aur page ko pata lagane ki anumati dete hai. Isliye apne blog ka sitemap banakar google search console or bing, yahoo jaise webmaster me submit karna SEO ko badhawa dena hai. Jo aapki site ke liye ekdam best kadam hoga.

4. URL Structure ( Custom Permalink)

Post url search engine me highest ranking pane ke liye bahut madad karta hai. Isliye post likhte time url ko ignore nahi karna chahiye. Custom permalink ka use karke apne url ko search engine friendly banana chahiye. Jab user koi jankari search karte hain to url unki help karte hain yani jo cheez wah chahte hain unko url ke jariye se jaldi mil jati hai. Isliye apni post ka url jyada bada nahi hona chahiye. url ke andar se break word ko hatakar chhota banana chahiye. Kyonki user ise aasani se samajh jata hai.

5. Publish Daily New Post And Update Regular

Agar aap post ko regular update karte hain to isse pata chalta hai ki abhi aapki site new hai. Yani post update karne se user samajh jata hai ki aapki site par bilkul fresh jankari uplabdh hoti hai. High SEO ranking prapt karne ke liye post ko update karna bahut jaruri hai. Update karne se post google me bahut jaldi index ho jati hai. Bahut se blogger ko yah problem hoti ki unki post jaldi index nahi hoti hai. Iska main reason post ko update nahi karna hai. Isliye main aapko suggest karunga ki aap post ko update karte rahe. Blog post me Seo friednly top list article kaise likhe is post maine Seo optimized post likhne ke bare me jankari di hai. aap ise padhkar post likhne ke bare me bahut kuch samajh jayenge.

  • Adsense Invalid Traffic Activity Ko Kaise Band Kare Or Iska Pata Kaise Lagaye

Regular update karna low traffic ki problem ko fix kar deta hai. Kyonki bahut si post aisi hoti hain jinko update karne se visitor badh jate hain aur page rank increase hoti hai. Agar aapke pas koi bhi blog ya website hai aur search engine me top ranking pana chahte hain to update karne ke alawa regular post bhi karni hogi.

6. Use Mobie Friendly Theme Version

Mobile device ab koi purani cheez nahi hai. Android phone aajkal har aadmi ki jarurat ban gaya hai. Isliye lagatar iska upyog badhta jar aha hai aur ye baat to aap bhi jante hain ki koi bhi aadmi har waqt computer par nhi bethta hai. Kyonki uska aadha kaam mobile kar deta hai.Isliye bloggers ko dhyan rakhna chahiye ki unka blog mobile responsive bhi hai ya nahi. Agar aapki site mobile friendly nahi hai to aapke liye traffic ki problem khadi ho sakti hai. Search engine bhi mobile friendly site ko jyada important samajhte hain. Isliye agar aap blogger hain to apne blog ke liye ek mobile friendly theme select karni chahiye jo mobile user ke prati anukool ho.

7. Post Image Kaisi Honi Chahiye

Agar aap post me image use karte hain to aapko dhyan rakhna chahiye ki aapke blog or website ka content box ka size kitna hai. Usi hisab se aapko image banani chahiye. Mera matlab ye hai ki jitna ho sakte minimum size ki image use kare. Because kam size ki image use karne se page ko load hone me kam time lagta hai. Jisse aapki site user friendly ban jati hai.Post me chhoti size ki image (photos) use karna mobile device ke liye bahut badhiya hai. Kyonki chhoti image mobile me puri tarah se sow ho jati hai jo mobile ke liye ek plus point bhi hai. Isliye apni post page me image use karne par uske size ko optimized kar lena chahiye.

8. Alt Tag Ka Use Karna

Yadi aap apni website par photos, videos aur galary upload karte hain to aapko readers ko samjhane ke liye Alt tag ka upyog karna chahiye. Kyonki Alt tag use karne se user ko aapki image aur video ke bare me clear pata chal jata hai ki ye kis bare me hai.Search engine aapki image aur video ki alt tag ko bhi dekhte hain. Isliye jis post me image ke liye Alt tag use kiya hoga wo post us post se pehle search engine me show hogi jisme Alt tag nahi hai. So apne post ke andar video or image upload karne par Alt tag ko ignore nahi karna chahiye.

9. Search Description (Meta Data)

post write karte waqt aapko dhyan rakhna chahiye ki aapne meta data ka upyog kiya hai ya nahi. Agar aap meta data yani search description ka use karte hain to aapki post ko search engine aasani se samajh sakenge. Because meta data aapki post ko acchi tarah se samajhne ke liye sahayata pradan karta hai. Meta data search engine ko batata hai ki aapki post kaisi hai. Meta data (search description) post ko high ranking karwane ke liye aawashyak hai. Aap meta data ke andar bhi keyword ka use kar sakte hain.

10. Site Categories (lables or Tags)

Bahut se blogger apne blog par bahut saari categories bana lete hain. Jinme bahut si category aisi hoti hain jinka blog me koi kaam nahi hota hai. Agar aapke blog par ek category se kaam chalta hai to dusri category nahi banani chahiye.Dusre blog ko dekhkar same to same usi tarah ki category rakhne par google unko copyright tags bhi samajh leta hai. Isliye mein aapse kahna chahunga ki jab bhi koi kaam kare to alag kare dusro ki copy na kare.

  • Blogger Blog में Labels (Categories) Widget कैसे लगायें?
  • Gmail Inbox को Unwanted Email से Clean Kaise Kare

Jarurat ke mutabik category rakhe. Aapke blog par 25 se jyada category nahi honi chahiye isse jyada category tag ka use karne se bahut se effect padte hain jinme, loading speed ki problem bhi hai. Iske alwa search engine aapki site ko samajhne me time lagata hai.

11. About User Experience

Aapko ye pata hona chahiye ki aapki site ki kaunsi post kitni important hai. Kyonki isse aapko post ko update karne me madad milti hai aur pata chalta hai ki is post ko user ki like karenge ya nahi. aapko pata hona chahiye ki aapka Blog complete seo friendly bhi hai ya nahi. Apni site me ye pata lagana chahiye ki kaunsi post or page aapke blog ke liye thik nahi hai. Aapko ye bhi pata hona chahiye ki aapki site par audience kitne samay tak ruke rahte hain. Iske alawa aapko ye bhi jankari honi chahiye ki visitor kya search karke aapki site par aaye hain aur kis cheez par click karte hain. Jis cheez ke bare me reader janna chahte hain uske bare me aapko jankari uplabdh karani chahiye.

  • Blog की Theme को Change Or Upload कैसे करें । Step By Step Full जानकारी
  • Blogger Homepage पर Post की Limit कैसे सेट करें – How To Change Number of Post

Mujhe ummid hai ki aapko ye post aapko bahut pasand aayegi. Dosto is post me maine 1900+ word use karke badi mehnat se 11 SEO Tips ke bare likha hai. Blog ko search engine me top par lane ke liye ye tips aapke liye bahut madadgar sabit hongi. Agar aapka koi sawal hai to comment box aapka welcome karne ke liye ready hai. thoda time dekar Is post ko social meida par share jarur kare.

Leave a Comment