Agar aapko koi bhi whatsapp par block kar de to aap uska pata nahi lga sakte because iska pata lagane ka koi tarika nahi hai. Iska pakka to tabhi lag sakta hai ki jab tak aapko block karne wala aapko bata na de. But yaha par mei aapko kuch aise tarike batane ja raha hu jinse aap kuch had tak pata laga sakte hain ki aap blocked hain ya unblocked.
Kuch Points Jinse Aap Idea Laga Sakte Hain Ki Whatsapp Par Block Hai Ya Nahi
Dekhiye ek tarika jo hai usko maine aapko upar bata diya hai ki jab tak jisne aapko block kar diya hai woh khud na bata de tab tak nahi pata laga sakte. Ho sakta hai whatsapp iska bhi koi feature offer kar de jisse hum pata laga sake ki hume block kiya gaya hai ya nahi.
Sabse badhiya tarika ye hai sabse pehle aap whatsapp group banaye aur us group me us contact ko add kare jis par aapko sandeh ho ki block kiya hai ya nahi. Agar aapko usne block kiya hoga to us contact ko aap group me add nahi kar payegne. Jab aap add karne ki koshish karenge to aapko ek message show hoga jo is tarah se hoga. ‘you are not authorized to add this contact’ agar aapke pas wakai me ye error dikhai deta hai to samjh le ki aapko usne pakka block kar diya hai.
- Whatsapp Ka New Feature Jisse Fake News Par Kasegi Lagam
Dusra point ye bhi hai ki jab aapko koi block kar chukka hota hai to usko jab bhi aap message karenge to uske pas message nahi pahunchega. Aapki taraf se to message chala jayega but wo dekh nahi payega. Yani uske pas message deliver nahi hoga. Iska pata lagane ke liye aap jo message kiya hai usme jo right ka nishan aata hai yani (check marck) wo double nahi or green bhi nahi hoga single hi rahega. Mobile me chat karke dekh kar aap ise sahi tarike se samajh sakte hain.
- Wifi स्पीड कैसे बढ़ाएं और Signal Booster को कैसे सेट करें
Teesra Agar aapko kisi ne block kar diya hai to aaapko uski profile picture par kuch din tak najar rakhna hai ki change hoti hai ya nahi kyuki hum block karne wala user agar profile picture ko change karta hai. To hume uska pata nhi chalega. Isliye aap dekhe ki uski profile picture kab se nahi badli hai. Agar aapko block kar diya gaya hai to uski profile picture aapko wo hi dikhai degi jo usne aapse last time chat karte samay laga rakhi thi. Agar bahut time tak uski profile me aapko koi bhi changing dikhai nahi de raha hai to ho sakta hai usne aapko block kar diya ho.
Chutha point jo sabse important hai ki jab aap us user ko whatsapp ke jariye call karenge to usko aap call nahi kar payenge. Isliye sabse pehle aap use call karke check kar sakte hain.
Agar is post ko samajhne me koi pareshani ho to humse puch sakte hain is post ko dusre logo tak pahucna kar humara support kare. Good Luck!