इन तरीकों से बचाए अपने Gmail Accounts को Hack होने से

Aap jante hain ki aaj ke waqt me internet par bahut jor-shor se logo ki bheed lagi huyi hai. isliye email id ki upyogita ek common cheez ban gai hai. but user ke dwara apni email id ko secure aur safe rakhne ke bare me laparwahi chinta ka vishay hai. because email id only communication aur corresponds ke ek modern mediam ke roop me work nahi karti hai balki kai sensitive data aur private information ko bhi secure rakhti hai. Email id humari bahut si cheezo ko sangrhit karti hai. iske alawa humari bahut sari important files google drive par padi rahti hai. aisi condition me email id ka hack ho jana badi dukh ki bat hai. kyonki user ka data aur secrete important information chori hone ka dar hai. isliye is post me main aapko Gmail Accounts yani email id ko hack hone se kaise bachaye ke bare me kuch tips share karne ja raha hu inko follow karke aap apni privacy ko secure rakh sakte hain.

email id ya google account ko hack hone se kaise badhaye. emaild id ko security kaise badhaye. email id ke hack hone ke reason. how to protect your email account from hackers.

Is Tarah Se Bachaye Email Id (Google Account) Ko Hack Hone Se

Email id ek google ki service hai. jisse humare bahut sare account jude hote hain. agar aapka blog hai to jarur aapka blog bhi email id par hi hoga. bahut se logo ke paas earning karne wala adsense account bhi hoga jo apne email par bana hota hai. socho agar aapki email id hack ho jati hai to kitna dukh hota hai. isliye main aapse kahna chahunga ki koi bhi gadbad hone se pehle apni email id ki security ko majboot kar lijiye taki aage hume pareshani ka saamna na karna pade.

    Aap apne account ki security ko ignore mat kijiye. Kyonki internet par aapse bhi jyada smart aur clever log baithe hain. jo sirf yahi taak me rahte hain ki kab mauka mile aur kab kisi ki email id ko apna bana le.agar aap apni email id ki security badhana chahte hain aur hackers se bachana chahte hain to in tips ko padhiye.

    Create Safe & Secure Passwords

    Email id ki security badhane ke liye password ek important part hai. aapki email id ka password bahut strong hona chahiye. Apne accounts ke liye strong password banana bhi ek bahut badi art hai. bahut se user ise ignore kar dete hain. jyadatar dekhne ko milta hai ki user apne name, birthday, mobile number, family member, girl friend, boy friend ke name ka password bana kar use karte hain. isliye professional hackers aasani se unke gmail accounts ko hack kar lete hain. agar aap strong password banana nahi jante hain to is post ko padh sakte hain isme maine majboot password banane ke bare bahut easy jankari di hai.Email id ko secure aur safe rakhne ke liye Strong password sabse badi aur pehli shart hai. strong password banane ke liye main aapko yaha par kuch jaruri bate bata raha hu. jinko dhyan me rakhna jaruri hai.

    Recovery Details for Gmail

    Jis email id ka aap use kar rahe hain use apne mobile number aur dusre email id se jod dene se email id ko recover karne me kafi madad milti hai. apni email id me recovery email add karne se aapki email id ki security badh jati hai. security ke liye kuch aise question add karne chahiye jinke jawab aasani se koi hacker anuman nahi laga sake.

    Enable Two Step Verification (Two Factor Authentication Solutions) 

    Aapko apni email id par multipul security use karni chahiye. Multipul security ka matlab hai ki apne email id par two step verification security enable karna. Email service provide karne wali sabhi compnies multipul security ka option uplabdh karati hai. agar aap two step verification enable karte hain to aapko isme apna mobile number add karna padta hai. iska fayda yah hota hai ki jab bhi aap login karte hain to aapke mobile number par ek verification code bheja jata hai. jisko type (feed) karne ke bad hi aap email id par login kar sakte hain.

    Use Daily Your Gmail Account

    Bahut bar aisa dekhne ko mila hai ki bahut se user apne email account ko regular use nahi karte hain. jiske parinamswaroop user ko apni email id ke bare me information nahi milti hai. user ko tab bhi pata nahi chal pata hai jab unki email id hack ho jati hai jisse user ka data aur privacy security khatre me pad jati hai. isliye bahut jaruri hai ki aap apni email id ka regular use karte rahe .

    Ignore Public Wifi (Free Wifi Use Na kare) 

    Agar aap email id par login karne ke liye public wifi ka use karte hain to yah bhi khatre se khali nahi hai.kyonki ye free or public wifi tricks se bhare hote hain. public wifi use karne se koi bhi hacker aapki important information ki ghanti baja sakta hai aur use hack kar sakta hai. so public wifi ka use karte samay kabhi bhi apne gamil account par login na kare.

      Unknown & External Email Attachment Ko Open Na Kare

      ek email id user ke inbox me bahut se mails aate hain. jinke bare me user ko koi jankari nahi hoti hai aur user ka us jankari se koi sambadh bhi nahi hota hai. isliye main aapse kahna chahunga ki is tarah ke email ko open na kare kyonki use kholne par aapke computer me kuch malwares install ho sakte hain jo hacker ko aapke email id ke bare me secrete information send kar sakte hain. jisse aapki email id chori ho sakti hai. dhyan rahe kisi bhi scams mail ke jhase me nahi aaye bahut se mail aise aate hain jinme aapko income karne ya aapke accounts me paise bhejne ka lalach diya jata hai.

      Don’t Forget Log Out/Sign Out Google Account

      Kai bar aisa hota hai ki hum email id par login hone ke bad apna kaam karne ke bad logout karna bhul jate hain ya kisi bhi cybercafé par apni email id ko khuli chhod aate hain. email id ko login karne ke bad use logout karna bahut jaruri hai. agar aap aisa nahi karte hain to koi dusra user aapke computer aapke computer ko user karega to aapka email account bina password ke open ho jayega aur aapki important jankari chori ho jayegi. Main aapko recommend karunga ki logout karne ke bad browser ki history ko bhi clear kar dena chahiye. Agar aap browsing data ko clear nahi karte hain to koi bhi user aapke email link par click karke aapke google accounts tak pahunch sakta hai.


      Use Anti-Virus Software To Scanning Attachment

      Scams se bachne ke liye aapko apne computer me ek achcha sa ativirus install kar lena chahiye. Computer par antivirus use karne se aapki email id ki security bhi badh jati hai. iske alawa bahut se internet banking aur shoping payment karne ke liye bhi antivirus ka istemal karna aapki secrete information ko hack hone se bacha leta hai. Apne computer par install antivirus me email clients information security ko enable karke rakhe. Iska fayda ye hai ki aane wale email me attachment ko scan kar deta hai. agar aapko koi aapke computer ko hani pahunchane ke liye mail karta hai ya aapke gmail inbox me kisi mail files me harmful extensions and virus aa jate hain to aapka antivirus unko block kar deta hai. jisse aapka data safe rahta hai or aapke privacy ko koi bhi nuksaan nahi hota hai.

      Ab mei aapko kuch simple tips bata raha hu jo google account user ke liye bahut jaruri hai.

      • Sabse pehli bat yah hai ki password minimum 10 digits or letters se kam ka nahi hona chahiye. 
      • Aapke Password me alphabet letters ke sath numbers aur symbols ka upyog bhi hona chahiye. 
      • Jab aap aise password banate hain to hackers ke liye aapki email id ko hack karna mushkil ho jata hai.Professional hacking ke badhte hue is daur me email id ki security ek badi chunauti hai. 
      • Apne password ko majboot rakhne ke saath user ko hamesha yah check karte rahna chahiye ki apni email id par koi new email to nahi aaya hai. 
      • Agar koi anjan vyakti ka mail aaya hai jise aap nahi jante ho to usko open na kare or use jaldi delete kar de. 
      • apni email id ke password kisi bhi vyakti ke sath share na kare. 
      • agar aapko kisi ko apne email accounts ke password batana jaruri ho jata hai to apna kaam ho jane ke bad turant password change kar de. 
      • aisi website jiske bare me aapko jankari nahi hai yani spam send karne wali site par apni email id add na kare 
      • kabhi bhi kisi ko apna verification code nahi bataye or dhyan rahe google ki taraf se kabhi bhi aapka verify code nahi pucha jayega. 
      • apni email id ke password ko time to time change karte rahe. main aapko sugesst karunga ki aap 10 se 15 din me apna password badalte rahe. 
      • jab bhi kabhi kisi other computer par apni email id ka use kare to uske turant bad apne computer ya mobile se password change kar de. 
      • google apne accounts or service ke prati bahut secure hai google ke account jaldi se hack nahi hote hain. lekin phir bhi aapko apni id ko safe rakhne ka pura intejam karna chahiye. 
      • jab koi aapki email id ko hack karne ki koshish karta hai to aapke email par warnning mail aajata hai. 
      • agar aapko warnning mail receive ho jata hai to turant apne password or recovery mail and mobile number ko update kar de. 
      • agar aapki email id hack ho jati hai to jaldi se apne mobile number aur recovery email or date of birth, security question etc. se recover kare. 
      • Jab bhi google account ko open kare to browser me private window me hi khole kyuki isme aapki history save nahi hoti hai.

      Email id Hack To Sabkuch Hack

      iska matlab ye hai ki ek email id bahut se account ko apne andar liye huye hai. kyunki email id se ham internet par bahut se account creat karte hain jinme facebook bhi shamil hai.hum jis ad network se earning karte hain wo bhi isse juda hota hai. hamare bank accounts and paytm,phone pe etc. hamari email id se hi verified hote hain. ab aap hi socho hamari email id hack hone par in sab par bhi attack ho sakta hai. isliye iski security bahut jaruri hai.
      Agar apko is post ko padhkar accha laga to give me five second and share this post wiht your friends.

      Leave a Comment