Hackers un accounts par jyada dhyan dete hain jin pr ads service aur koi bhi payment suvidha use ki jati ho.lekin iska matlab ye bhi nahi hai ki jin khato par aap apni koi bhi personal jankari share nahi karte hain wo safe hai. hackers kabhi bhi apke mobile number aur email id jaisi gopniye jankari ko h hasil karne ke liye aapki fb id ko nuksan pahuncha sakte hain.
- Facebook Account Disable हो गया है लेकिन क्यों ? 6 कारण
Facebook account ko secure karne ki basic tips.
Apne account ko kabhi bhi cyber café ya alag-alag computer par na khole. Isse hume jyadatar bachna chahiye. Agar aap ek se jyada computer par apne facebook ko open karte hain to hackers ko hack karne me bahut aasani ho jati hai. kyunki aapki login details aur password history me save reh jate hai or kai bar aisa bhi ho jata hai ki hum apne facebook account ko logout karna bhul jate hai.
Account facebook ka ho ya email id ka ya fir koi aur hume humesha strong password hi use karna chahiye. Aapka password aisa hona chahiye ki dusra koi aadmi anuman hi na laga sake. Bahut se users apne date of birth , mobile number, vehicle number, aur apni favourite cheej ke name se password bana lete hain. Jisse hack karne wala aasanai se unka pata laga leta hai. isliye aise password banane se bachna chahiye or kabhi bhi apne kisi bhi id ke liye password banane me laparwahi na kare.
- इन तरीकों से बचाए अपने Gmail Accounts को Hack होने से
Facebook account me mobile number aur email id add karna hackers ke liye deewar khadi karne jaisa. Agar aapko lage ki aapke account par koi bhi galat activity ho rahi hai yar aapke facebook ko kuch percent hack kar liya gaya hai to us samay aapke liye mobile number or email id bahut upyogi sabit ho sakte hai. ha aap apne account ko mobile number or email id ki help se dobara se recover kar sakte hain.
Jab bhi aap apna koi bhi payment ka ya online shopping ka kaam karte hain to private browsing ka use karte hain. Aise hi hume apne facebook ke liye private browsing use karni chahiye. Private browsing ko aap Mozilla firefox or chrome browser dono me use kar sakte hain. Iska fayda ye hota hai ki private browsing me kabhi bhi aapki history password wageraha save nahi hota. Apne personal computer me na sahi kam se kam dusre computers par to private browsing hume jarur use karni chahiye.
- Easy Ways to Extend Your Smartphone’s and Laptop’s Battery Life In Hindi
Facebook Ki Security Ke Liye Advance Tips
Facebook ki security ko aur jyada majboot karne ke liye aapko kuch aur bhi karna padega apne account me kuch settings karni padengi. Chaliye mei aapko bata deta hu ki aapko kya karna hai. ye tips jo mei bata raha hu inko padhkar waise hi ignore karna aapke liye nuksan ho sakta hai agar aapne ye security nahi lagayi hai to isliye mei aapko suggest karunga ki aap apne facebook khate me ye settings jarur kare.
Sabse pehle apne facebook account ko open kar lijiye
Ab upar right side me aapko arrow ka nishan dikhai dega jaha se aap logout karte hai. us par click kariye aur settings option ko chune. Jaisa ki aap image me dekh rahe hain.
Settings par click karne ke baad me aapke samne kuch aisa page aayega. Jisme aapko security or login option par click karna hai. niche image ko follow kare.
Ab isme aapke pas security ke bahut sare option hai jaise ki tow-factor authentication, Login alert notification, Get alerts about unrecognised logins, Encrypted notification emails etc. inko aap chalu karke apne facebook account ki extra security badha sakte hain.