Facebook Account Ko Hackers Se Bachane Ki Security Tips

Agar aap facebook use karte hain to apko bhi alert ho jana chahiye. Kyoki hackers kabhi bhi aapke facebook account par attack kar sakte hain. Aajkal lagbhag sabhi logo ke pas apna ek facebook account hota hai. bahut se log to bahut sari facebook id bana lete hain lekin pareshani ka mamla tab banta hai jab humare official ya kahe to bahut jaruri facebook account par hackers ki najar pad jati hai. isliye aapko sawdhan rehna chahiye kyuki kai bar aisa hota hai ki humare account ko hackers ke hath me sopne ka jimmedar hum khud ban jate hai. humari laparwahi ki wajah se hum apna account kho dete hai. ab mei aapko iske bare me aur detail se bata raha hu ki hume aisa kya krna chahiye jisse humara facebook account safe reh sake.

facebook id ko hackers se bachane ki tips

Hackers un accounts par jyada dhyan dete hain jin pr ads service aur koi bhi payment suvidha use ki jati ho.lekin iska matlab ye bhi nahi hai ki jin khato par aap apni koi bhi personal jankari share nahi karte hain wo safe hai. hackers kabhi bhi apke mobile number aur email id jaisi gopniye jankari ko h hasil karne ke liye aapki fb id ko nuksan pahuncha sakte hain.

  • Facebook Account Disable हो गया है लेकिन क्यों ? 6 कारण

Facebook account ko secure karne ki basic tips.

No. 1: Har kisi ki device par facebook ko na khole

Apne account ko kabhi bhi cyber café ya alag-alag computer par na khole. Isse hume jyadatar bachna chahiye. Agar aap ek se jyada computer par apne facebook ko open karte hain to hackers ko hack karne me bahut aasani ho jati hai. kyunki aapki login details aur password history me save reh jate hai or kai bar aisa bhi ho jata hai ki hum apne facebook account ko logout karna bhul jate hai.

No.2: Strong password ka use kare

Account facebook ka ho ya email id ka ya fir koi aur hume humesha strong password hi use karna chahiye. Aapka password aisa hona chahiye ki dusra koi aadmi anuman hi na laga sake. Bahut se users apne date of birth , mobile number, vehicle number, aur apni favourite cheej ke name se password bana lete hain. Jisse hack karne wala aasanai se unka pata laga leta hai. isliye aise password banane se bachna chahiye or kabhi bhi apne kisi bhi id ke liye password banane me laparwahi na kare.

  • इन तरीकों से बचाए अपने Gmail Accounts को Hack होने से
No.3: Mobile number aur email id add kare

Facebook account me mobile number aur email id add karna hackers ke liye deewar khadi karne jaisa. Agar aapko lage ki aapke account par koi bhi galat activity ho rahi hai yar aapke facebook ko kuch percent hack kar liya gaya hai to us samay aapke liye mobile number or email id bahut upyogi sabit ho sakte hai. ha aap apne account ko mobile number or email id ki help se dobara se recover kar sakte hain.

No. 4: Private Browsing option ka use kare

Jab bhi aap apna koi bhi payment ka ya online shopping ka kaam karte hain to private browsing ka use karte hain. Aise hi hume apne facebook ke liye private browsing use karni chahiye. Private browsing ko aap Mozilla firefox or chrome browser dono me use kar sakte hain. Iska fayda ye hota hai ki private browsing me kabhi bhi aapki history password wageraha save nahi hota. Apne personal computer me na sahi kam se kam dusre computers par to private browsing hume jarur use karni chahiye.

  • Easy Ways to Extend Your Smartphone’s and Laptop’s Battery Life In Hindi

Facebook Ki Security Ke Liye Advance Tips

Facebook ki security ko aur jyada majboot karne ke liye aapko kuch aur bhi karna padega apne account me kuch settings karni padengi. Chaliye mei aapko bata deta hu ki aapko kya karna hai. ye tips jo mei bata raha hu inko padhkar waise hi ignore karna aapke liye nuksan ho sakta hai agar aapne ye security nahi lagayi hai to isliye mei aapko suggest karunga ki aap apne facebook khate me ye settings jarur kare.

Sabse pehle apne facebook account ko open kar lijiye

Ab upar right side me aapko arrow ka nishan dikhai dega jaha se aap logout karte hai. us par click kariye aur settings option ko chune. Jaisa ki aap image me dekh rahe hain.

setting fb security

Settings par click karne ke baad me aapke samne kuch aisa page aayega. Jisme aapko security or login option par click karna hai. niche image ko follow kare.

extra security option enable kare

Ab isme aapke pas security ke bahut sare option hai jaise ki tow-factor authentication, Login alert notification, Get alerts about unrecognised logins, Encrypted notification emails etc. inko aap chalu karke apne facebook account ki extra security badha sakte hain.

enable extra security your facebook account
Agar aapne ye tips pehle se hi follow kar li hai to bahut accha hai agar nahi ki hai to ab aapko apne faebook account ko hackers se bachane ke liye in tips ko follow karna chahiye.dosto aapke liye ye jankari kaisi hai comments me bataye.agar is post se sambandhit koi bhi pareshani ho to hum se puch sakte hain.

    Leave a Comment