Adsense Invalid Traffic Activity Ko Kaise Band Kare or Iska Pata Kaise Lagaye

Adsense publisher ko isse pehle hi serious ho jana chahiye ki unke account me koi bhi policy violation issue aaye. Jab invalid activity ki wajah se google publisher ke adsense account ko suspend ya banned kar deta hai tab jakar user iske bare me serious hote hai. aap jante hain ki google adsense advertiser and publisher ki security ke liye koi bhi risk nahi lena chahta hai jisse unko koi bhi nuksan ho. ye sabhi publisher ke liye jaruri hai ki adsense par hone wali invalid activities ke bare me pata lagaye. Isliye is post me mei aapko bata raha hu ki invalid click activity kya hoti hai aur kaunsi aisi clicks or impression hain jinko google invalid samajhta hai aur allow nahi karta hai.

Invalid traffic activity se adsense ke advertiser aur publisher par effect padta hai kyuki isse advertiser ki cost aur publisher ki earning me artificially tarike se badhotari ho jati hai. Bahut se log jalan aur chidh ke karan janbujhkar aapke ads par click karke is invalid activicy ka reason bante hain. Isliye in sabki jimmedar publisher ki hoti hai. Agar aisi condition me publisher is par dhyan na de aur koi bhi invalid traffic ka pata nahi lagakar usko band nahi karta hai to google adsene account ko permanently disable kar sakta hai ya phir one months ya isse jyada time ke liye banned kar sakta hai.

Asal me google ye chahta hai ki user apni ruchi (agar user ka ads me interested hai to) hi click kare. Yani aapki site par jo visitor aate hain wo bina wajah aapke ads par click na kare. Google kisi bhi bhi aise method ko allow nahi karta hai jisse artificially tarike se click generate hote ho. Jaise kisi software, automatic click impration generate karne wale tools aur manually tarike se khud ke dwara ki gyai clicks and bar-bar ads bar click ko repeat karna etc. Agar aapke adsense account me high level par invalid activity hoti hai to google advertiser and users ki safty ke liye aapke khate ko suspend bhi kar sakta hai.

Aap ye mat soche ki google ko aapki chalaki ke bare me pata nahi lagega dhyan rahe google aapki har tarah ki activity par najar rakhta hai. Agar aap khud apne ads par click karte hain to google ise adsense policy violitaion manta hai. aapki site par traffic kam hone ke bavjood bhi aapki earnings me bahut jayda badhotari hoti hai to aapko samjh jana chahiye ki koi na koi invalid activity ho rahi hai jiske karan aapke clicks badh rahe hai and income increase ho rahi hai jo anumanit income se jyada hai. inaka pata lagane ki sari responsibility publisher ki hoti hai.
Apne kisi bhi frinds se ads par click karne ke liye kahna ya kisi bhi robots tools ki help se click badhana ye sab invalid activity me shamil hota hai aur bhi tarike hain jo invalid click activity me aate hain. Jaise ki
Bar-bar ek hi ads par click ko repeat (dohrana) karna and bina intrest ke ads ko open karna
Publisher ke dwara user ko apne ads par click karne ke liye uksana ya jaha par ads lagaye hai waha par click karne ke liye likhna jaise ki yaha click kare etc. yani jaha par aap ads lagaye waha par koi bhi button laga dena jisme likha hua ki yaha click kare (click here).
Apni earninigs badhane ke liye Apne live ads par khud click karna.
Kisi bhi aisi language ka use karna jo user ko ads par click karne ke liye uksati ho ya ads ke sath aisi koi bhi cheez laga dena ki user us par click karne ke liye majboor ho jaye jaise ki user ko apnit taraf kheechne wali image.
Yaha tak aap samajh gaye honge ki adsense invalid activity kya hai ab aapko ye bhi pata laga lena chahiye ki agar ye hoti hai to iska pata kaise kare.

How To Know About Adsense Invalid Clicks Activity ? ऐडसेंस अमान्य क्लिक गतिविधि को कैसे जानें?

How to define invalid click activity in adsense account ? Google ko ye bhi janta hai ki koi bhi third party aapke ads par click kar sakti hai jisse invalid activity ho but phir bhi iski responsibility publisher ki hoti hai. publisher ko chahiye ki wo iska pata lgaye ki uski website par kaha se traffic aa raha hai.

Sabhi publisher ke liye invalid clicks ke bare me pata lagana bahut mushkil hota hai aur jo new blogger hote hain bahut se to iske bare me jante tak nahi hai. isliye google ne iske bare me janne ke liye hume kuch tarike bataye hain jinse hum invalid clicks ke bare me thodi bahut to jankari le sakte hain ki ho bhi rahi ya nahi.

Don’t Click on Your own ads । अपने विज्ञापनों पर स्वयं क्लिक न करें

Agar aapko lagta hai ki khud ka click karna thik hai phir bhi apne ads par clicks na are chahe aap uske url ki janch kar rahe ho. Google ads par jitne bhi clicks hote hain unko filter karke janch karta hai. agar google ko lagta hai ye apni earnings ko badhane ke liye khud hi ads par click kar raha hai to aapke account ko band kar sakta hai. isliye behtar yahi hai ki koi bhi chalaki na kare aur mat soche ki google ko pata nahi chalega.

Double and Triple Check Your Implementation Way । अपने कार्यान्वयन की दोहरी और तिहरी जांच करें

Apne ads implementation ko dekhe ki usme koi mistake to nahi hai.kai bar user iske liye custom implementation ko use karte hain. Apne ads ki janch kare ki unme koi errors ya gadbadi to nahi hai. kai bar humri programming ya coding ki wajah se error aa jata hai. check Karen ki ads code me koi sansodhan to nahi hai. iske bare me adhik janne ke liye aap ads palacement policy ko read kare.

Understand aAbout Your Site Visitor and ad Traffic । अपने साइट विजिटर और विज्ञापन ट्रैफिक के बारे में समझे

Apne site par jo traffic aa raha hai uska pata lagaye ki wok aha se aata hai. iska pata lagane ke aap custom channel or URL channel and DFP Unit ka use kare. Iske alwa traffic ke bare me adhik jankari ke liye aap google analytics ka upyog kare isme pata lagaye ki aur mark kare ki kausa traffic aapke liye sahi hai.

Use the Authorized Site Feature । Site Aauthorisation Feature उपयोग करें ताकि आपके ads कोड को कोई और उपयोग न करे

Adsense account site Authorisation Feature hota hai jisse hum apni site ko authorized karte hain ki is site par ads dikhana hai. agar aap site authorized site par ads lagate hain to thik hai bur agar aap bina authorized ki huyi site par ads laga dete hain to ye galat hoga. Aap jis website par ads lagana chahte hain uska link add karke usko authorized kar le.

Adsense Help Forum से परामर्श लें

Ha agar aapko koi bhi aisi pareshani hui ho jo invalid traffic activity ke bare me ho to uske bare me adsene help forum me consult Karen. Ho sakta hai koi aur bhi jisko invalid clicks activity ki problem ka samna karna pada ho aur usne ise thik kar liya ho to aise vyakti aapki problem ka solution bata sakte hain. Agar kisi bhi publisher ko invalid traffic activity (clicks) generate karne wali third party ya ya koi aisi condition pesh aayi ho to isko adsense help forum me iske bare me dusre logo ko bhi bataye.
Ab aapko Google adsense invalid click activity ke bare me samjh me aagaya hoga phir bhi agar kisi publisher ko koi bhi problem aaye to aap comment me puch sakte hain. Agar kisi ka adsense account suspend ho gaya hoto usko chahiye ki adsense invalid click form ko fill karke iski report karde ho sakta google apke account ko dobara se chalu kar de. Good Luck!

Leave a Comment