Whatsapp Ka New Feature Ke Bare Me Jo Ki Aane Wala Hai
Ye un logo ke liye ek achchi khabar hai jo whatsapp par bekar ke link aur spam message se pareshan rehte hain. Isliye logo ke liye whatsapp ki taraf se ye ek important step hai.
- Whatsapp Par Aapko Block Kiya Gaya Hai Ya Nahi Iska Kaise Pata Lagaye
Shuruaat me is feature ko sabhi users ke liye uplabdh nahi kiya ja raha hai but ummid hai ki whatsapp ise sabhi users ke liye available kara de. Ye feature android version 2.18.204 ke liye whatsapp beta ka ek part hai.
Isko shuru karne me facebook ke swamitw wali company ka yogdan hai jiska maqsad spam aur fake news ko failne se rokna hai. WABetaInfo ki report ke anusar ye feature whatsapp par maujud spam link ko highlight karne ke liye uski janch karta hai.
Jab ye feature aa jayega to whatsapp apne aap pehchan kar user ko batayega ki ye link fake hai.isi tarah se jab ye sahi tarike se kaam karne lagega tab jo message whatsapp par aate hain unki janch karega aur batayega ki ye link aapko kaunsi website par le ja rha hai. jab hi whatsapp ko lagega ki koi bhi link fake hai to whatsapp use red colour se highlight kar dega. Jisse users ko aasani se pata lag jayega ki yah spam hai.
- Facebook Account Ko Hackers Se Bachane Ki Security Tips
Aap achhi tarah jante hain ki bahut si website aisi hoti hain jin par humari personal details chori ho jati hain. Aur humari device se data bhi chori ho jata hai. aajkal bahut se hackers whatsapp par aise link ko share kar dete hain jinme unki dhokadhadi karne wali website ka link hota hai. jisse users ki personal details chori hone ka khatra hota hai.
isliye ye website users ke liye bahut khatarnak sabit hoti hai. aisi hi website se bachane ke liye aur afwah aur bekar ki jhuti jinka sachchai se bal barabar bhi talluk nahi hai unko rokne ke liye whatsapp ka ye new feature available karaya jayega.
- Facebook Account Disable हो गया है लेकिन क्यों ? 6 कारण