Blog Post Me SEO Friendly Content Likhne Ki Full Jankari Hindi Me

How to write perfect SEO optimized post on your blog to first ranking. Apne blog par organic traffic recive karne ke SEO friendly post kaise likhe. Dosto aapko is post me Search Engine Optimized article likhne bare me bahut hi badhiya jankari share karne ja raha hu aap is post ko dhyan se padhiye. Blog par kisi ek cheej ke bare me lakho log post likhte hain lekin jab hum search engine me search karte hain to sabse upar post usi blog ki show hoti hai jisme search engine friendly article use kiya gaya ho. So aaj mai aapko is post ke madhyam se batane jar raha hu ki post me perfect SEO friendly content kaise wirte kare.

blog me seo friendly content kaise likhe, blog me seo friendly top list article kaise likhe, how to write seo friendly post in blog
How to write seo friendly top list article
Isse pehli post me maine aapko blogger Blog ko SEO friendly banane ke bare me ek shandar post likhi thi lekin is post hum sirf search engine friendly article ke bare me focus karenge. Bahut se bloggers ko blogging karte-karte kai saal ho gaye hain lekin unke blog ki kuch post hi search engine me show karti hain. Aisa isliye hota hai ki unhone abhi search enginge optimized article likhne ke bare me nahi socha hai.

Bahut se blogger apne blog ka design bahut hi achhe tarike se karte hain or karna bhi chahiye lekin design ke alawa jo main cheej hoti hai blog post hoti hai. Jab hum blog post likhte hain to humare dimag me tarah-tarah ke khyal aate hain ki yar ise likhu ya use likhu. Aap sab baton ko chhod dijiye sirf ye dekhiye ki aapki post ko search engine me log kis tarah se searh karenge. Iske bare me aap khud bhi try kijiye.

Jab hum google ya kisi bhi search engine me koi bhi word search karte hain to aapke dwara search kiye gaye word se related links show hote hain. Isi tarah jab aap apne blog ki post me post se related keyword use karenge to search engine me search karne par aapki post bhi searh engine me show hone lagegi. Isliye aapko dekhna hoga ki jis post ko aap likh rahe hain to us post ko log kaun-kaunse tarike se search karenge to jitne bhi search karne ke tarike hain un sabko apni blog post me use kare. Yani aapko apne audience ki searching activity ke bare me janna hai ki vah kya khojna chahte hain.

Har ek blogger chahta hai ki mere blog par jyada se jyada traffic aaye. Isliye mai aap se simple shabdo me kahna chahta hu ki aap aisi dhamakedar post likhe jisse search engine aapki post ko sabse upar show karne par majbur ho jaye. So is post me hum aapko aisi tips batane ja rahe hain ki kaise search engine ko apna gulam bana kar apni post ko sabse upar show karwaya jaye.Gulam banne ka matlab search engine ko kharidna nahi hai bus aapko post me aisa content likhna hai ki search engine aapki post ko dekhkar salute karne lage.

Blog Me SEO Friendly Post Kaise Likhe?

Apne blog ki post ko search engine me top par lane ke liye aapko kuch bato ke bare me janna bahut jaruri hai. Post me main cheej aapki post ka title aur meta descripton hoti hai. Isliye aapko iske bare me achhe se samajh lena chahiye.

Post Title: Post ka aisa title likhe jise search engine me dekhte hi log like karne lage aur us par click karne par majbur ho jaye.
Meta Description: Apni blog post me search engine friendly meta tag description ka use kare kyoki Search engine post ki meta tag description ko dekh kar hi post ko search result me show karta hai.
Meta tag description ko sahi tarke se use karna seo ke liye bahut labhdayak hai agar aap ise ignore karte hain to aapke post likhne ka koi fayda nahi hai.

Sabse pehle dekhiye ki jab hum blog post likhte hain to kya-kya karna padta hai yani us blog post ke andar kya option hote hain jinko hume complete karna jaruri hota hai.

  1. Post Tilte 
  2. Post Content 
  3. Meta Description 

1. Use Keyword In Blog Post Title

Agar aap post title me keyword use karenge to jab koi user aapki post title me use kiye gaye keyword se related koi bhi topic search karega to search engine aapki post ko bhi search result me show kar dega.

For Example:
Man lo aapki post ka title hai “Blog Par Traffic Kaise Badhaye Best SEO Tips” ab aap is post title ko dekh sakte hain ki maine isme 2 Keyword use kiye hain.

Traffic Keyword: SEO Tips KeywordsAb jab bhi kisi reader dwara in 2 keyword se sambandhit koi bhi jankari search engine me search ki jayegi to search engine aapki post ko bhi search result me dikhayega. Isliye jab bhi aap blog post write kare to post title me keyword jarur use kare. Post title jyada lamaba na banaye. Aisa post title use kare jise dekhte hi reader ko samajh me aa jaye ki is post me mujhe kya jankari milegi.

2. Post Content 

Post title creat karne ke bad bari aati hai post content ki aap jante hain ki post content reader ko kisi bhi jankari ko samjhane ke liye likha jata hai. Lekin hum post ko likhte samay keywords par dhyan nahi dete hai. Isliye aap post content me bhi keyword use kare.

Agar aap post content me keyword use nahi kar pa rahe hain to aapko chinta karne ki jarurat nahi hai. Iske liye aapko dusra tarika follow karna padega wo yah ki aap apni post me jyada se jyada word use kare. Aapki post me kam se kam 1200+ words hone bahut jaruri hain kyonki jab aap jyada words ki post wirte karenge to usme 2 se 4 keyword to mil hi jayenge.Iske alwa aapko post ki H1, H2, H3, H4, H5, H6 heading me bhi keyword use karne chahiye.

Post me use ki gayi image ki alt tag ko khali nahi chhodna chahiye tatha post permalink me se stop word ko delete karna chahiye.

3. Meta Description

Post Meta Description Kya hai aur isko use karna kyo jaruri hai. Post meta description post likhte samay search description box me likhi jati hai. Post meta description use karne par search enginge aapki post ko jaldi index karta leta hai aur search engine robots ko post ko samajhne aasani hoti hai. Because search engine robots sabse pehle post ki meta description par focus karte hain.

Post Meta Description Ko Use Karne Ka Sahi Tarika

Bahut se bloggers meta description ko chhod dete hain jisse unki post search engine result me show nahi hoti hai aur bahut se bloggers meta description ko use to karte hain lekin post se alag keyword use karte hain. So jab bhi aap meta description ka use kare to usme post se related keyword hi use kare.

For Example: Agar aapki post ka title hai “Blog kaise banaye” aur aap meta description me likhte hain “ Blog post ko jaldi search me kaise laye ya blog par traffic kaise badhaye” aisa karna meta description ke bilkul opposite hai.

To jab aap ise sahi tarike se likhoge to ye aisa hoga “Seo friendly blog banane ke liye kya kare ya blog ko seo friendly banane ki Guide” is tarah se aap apni blog post ki search description ko use kar sakte hain.  Ek bat dhyan rahe post me aap jis topic ke bare me jankari share kar rahe hain us topic se related keyword search description me jarur use kare. Kyonki users aapki post ki search description par jyada focus karte hain aur usko padhkar hi blog post par visit karte hain.

Mujhe ummed hai ki ab aap aasani se SEO friendly post apne blog par likh sakte hain aur apne blog ki traffic ko bhi increase kar sakte hain. Isliye agar aapko ye jankari pasand aayi to apne dosto ke sath bhi share kare.Blog me SEO Friendly Top List Article Kaise Likhe Is Post se related Agar aapka koi aur sawal hai ya is post ke bare me apni koi bhi ray dena chahte hain to comment me bata sakte hain.

Leave a Comment