Bahut se new blogger aise hote hain jo adsense ke liye apply kar dete hain. lekin unke pas khud ka bank account nahi hone ya bank swift code problem hone par adsense payment ko receive karne ke liye bahut pareshani uthani padti hai. isliye main aapko is post me batane ja raha hun ki kisi anya vyakti ke bank account ko add karke adsense se payment kaise lete hain. agar aapke pas self bank account nahi hai aur aap apne adsense payment ko kisi friends ke account me lena chahte hain to aap bilkul le sakte hain. lekin aapko adsene ke terms ko achchi tarah follow karna padega.
Ji Bilkul, aap kisi or ka bank account add karke adsense se payment le sakte hain. lekin aapko is process ko badi sawadhani se karna hai. kyonki bank account add karne me thodi si mistake hone par aap apni Earn Money se hath dho baithoge. Galat bank account add hone par adsene aapke paise us account me send kar dega ya galat address ki wajah se aapka payment transaction fail ho jayega. So aap soch samajh is process ko follow kare.
Agar aapke pas khud ka bank account nahi hai to main aapko suggest karunga ka ki aap apne khud ka bank account open karwa le taki aapko adsense se payment lene me koi problem nahi ho. Agar aapka bank account kisi problem ki wajah se nahi khul raha ho to aap kisi dusre related person ke bank account me payment le sakte hain.
Kya Friends Ke Bank Account Me Adsense Payment Receive Kar Sakte Hain?
Yed aaap apne Friends ke bank account me bhi adsense payment ko prapt kar sakte hain basharte ki aapne adsense ki guidelines ko follow kiya ho. Agar aap kisi or ka bank account ko adsense payment ke liye use karne ja rahe hain. to aapko in baton ka dhyan rakhna hoga. Adsene ke ye rules ek adsense publisher ko dhyan me rakhna bahut aavshyak hain inko follow karke hi aap kisi or ke account me payment le sakte ho.
- Adsense Invalid Traffic Activity Ko Kaise Band Kare Or Iska Pata Kaise Lagaye
Adsense me Jo Payee address add kiya tha us address par bank accounts hona chahiye. aap payee address ko change bhi kar sakte hain aur jiske account me money receive karna chahte hain uski details add kar sakte hain.
Eg. Agar aapne adsense me apna khud ka address diya tha to aap apne khud ke address par rahne wale kisi bhi friends, person, ya aapke gaon ke kisi bhi aadmi ke usi address ke bank accounts par payment receive kar sakte hain.
- Blog Ko SEO Friendly Kaise Banaye – 11 Badhiya Tips Hindi Me
agar aapki ye details match nahi hoti hai to aapka payment fail ho jayega aur aapko nahi milega. Agar aapki details bilkul sahi hai but kisi other problem ki wajah se aapko payment nahi milta hai to do- teen saptah me aapka payment wapas aapke bank account me dal diya jayega.
Conclusion,
Bahut se log aise hain jinko aksar yahi problem hai ki wo adsense payment sirf bank account nahi hone ki wajah se nahi le pa rahe hain. isliye kisi dusre person ke bank account ko use karke unki is problem ka solution ho sakta hai. Aapko achchi tarh samajh aagaya hoga ki kisi friends ke bank account me adsense ka payment kaise lete hain. agar aapko isme kuch problem aati hai to aap comment me puch sakte hain. agar kisi wajah se adsense payment fail ho jata hai to don’t worry , Because 2 se 3 weeks ke andar aapka payment aapke adsense account par wapas bhej diya jata hai. agar aapko ye jankari pasand aayi to apne dosto ke sath share kare aur humare blog newsletter ko subscribe jarur kare.