Mobile Phone aur Laptop Ki Battery Life Kaise Badhaye

Hello Dosto Aaj is article me mein aap ko batane ja raha hoon Smartphone or laptop ki battery life Kaise Badhaye. Dosto aaj ke Samay Mein internet user or laptop user and smartphone user ko Sabse Badi problem hai ki smartphone laptop ki battery Jyada Samay Tak Nahi Chalti Hai. Jyadaatar smartphone users Apne phone ki battery Ko lekar bahut pareshan rehte hain. Laptop user ki to baat hi kuch aur hai unko to smartphone ki tulna me laptop se jyada problem Hoti hai kyunki laptop ki battery bahut jaldi dead ho jati hai. Ye post Maine khas unhi logo ke liye likhi hai jo Apne android mobile aur laptops ki battery Ki power Ko increase karna chahte hain.

Dosto aaj ke Samay mein jyada tar smartphone high resolution wale Bade display powerful processor aur Jyada memory Ke Saath me milte hain. Inke liye power ki bhi bahut jyada jarurat Hoti hai. inme bade se bade kaam Ko karne ki Shakti Ashok Hoti hai. Aap jante hi hain ki jab hum inse bhari kaam karenge to inki battery bhi kam chalegi. Isliye hume majboori me powrbank ka istemal karna padta hai.

Laptop ki bhi kahani yahi hai ki jaise jaise iski battery purani hoti Jati Hai toh hame isco Bar Bar charge karne ki avashyakta hoti hai. Dosto aap jante hain ki hum jyadaatar electronic device lithium ion aur lithium pali wali battery ke use karte hain kyuki humare yaha par isi ke laptop aur mobile milte hain. Ab to ye quick charge features me aane lag gaye hain. But phir bhi inse hum battery ki lambi life ki umeed nahi rakh skate. Kyonki kitni inki battery ki life batayi jati itni hume milti nahi hai.

Jab humare laptop ki battery kam chalne lagti hai tab hum laptop ko upgrade karate hain lekin isse badhiya to uski battery ko change karna hota hai. New battery kuch months tak aapke kaam ko achchi tarah chala sakti hai. Lekin hum jante nahi hain ki kuch hamari kamiyo ki wajah se bhi battery bahut jaldi kharab ho jati hai. Kai bar hum battery ke kuch percentage charge hone par bhi kaam karte rehte hain. Isse bhi battery ko bada nuksan pahunchta hai. Aise hi kuch tips yaha par bata raha hu jinse aap apni battery ki acchi tarah care karne me safal honge aur aapki battery life bhi kuch had tak badhegi.

In Easy Tariko Se Android Phone Aur Laptop Ki Bettry Life Badhaye

Keep The Temperature in Mind


Battery University ke anusar battery Ko ucch tapman me rakhana bahut pareshani ki situations ban Sakta hai. Temperature jyada hona aur dusra battery ki age badhna uski performance par effect Sakta hai.Smartphone phone ki battery jab jyada garm hone lagti to humara pareshan hona lajim hai. Lekin ye problem new android phone me bahut Kam Hoti hai kyo ki Sara jhamela to battery ke time period ka hota hai ki aapki battery ne kitni jindgi Jee li hai. Yani uski life kitni hai aur aap kitne samay se usko istemal kar rahe ho.

Aapko is baat ke dhyan rakhne ki aavshykta hai ki aapka mobile konsi jagah par rakhe hain agar aap mobile ko dhoop me ya unche tapman wali jagah par rkhenge to iski battery ko dosh dena uchit nahi hai. So kabhi bhi mobile ko istemal kare to dekhlena chahiye ki uski battery ka temperature high to nahi hai. Hi Han agar aap High temperature ki condition me mobile ka use karoge to iski cycling se bhi jyada problem uthani pad sakti hain.

Normal temperature yani Kam tapman me battery ka upyog Krane se iski life cycle bahut solid bani rah sakti hai. Agar temperature 30° celcius se uapr hai to samjh le ki jyada hai agar isse niche hai to normal hai. So friends chahe aapka Android mobile kitne ka hi ho ya iPhone ho baat price ki nahi hai kyunki koi bhi cheez chhoti ho ya badi hum use Apne kaam karne ke liye hi lete hain. Kaam karne ke liye liya hai to usse uski performance badhiya tab tak to kaam le hi sakte hain. Isliye iski care bhi bahut jaruri hai.

Never Do These Mistakes


Smartphone ko gadi ke dashboard par chhod Dena. Bahut hi badi na insafi hai aapke mobile phone ke sath kyunki agar aapko car me air conditioner off hai aur aapne use khuli dhoop me park kar diya ya aap driving kar rahe hain to car ke mirror se aane wali dhoop aur aapke vehicles engine se aane wali tej garmi aapke smartphone or battery ko bahut jaldi hi high temperature par pahucha sakti hai and aap jante hai hi ki iske results aapko kya milenge.

Second kitchen me bhi mobile phone ko chhodna sahi nahi hai waha par bhi temperature ki adhik hota hai.

Inverter ke upar ya bahut jyada karib phone rakhne se bhi battery par galat prabhav padta hai.

Isi tarah laptop ki battery ke liye savdhani baratni xhahiye. Laptop me cooling pad hota hai jo cpu processor se garm hawa ko bahar fenkne ka kaam karta hai.dhyan rkhana chahiye ki cpu vents se hawa Ko bahar niklne ke lie aapne khuli jagah ka istemal Kiya hai ya nahi. Dhool mitti se bhi use surakshit karna hoga. Cpu vent me mitti dust jama hone se uski pakhdiyo Ko kaam karne ke liye bahut load uthani padta hai. Jisse battery aur laptop dono garm hote hain.

Avoid Installing Free Application


Free apps use karne par usme ads to aapko milenge hi to yahi ads aapke mobile ke processor par asar dalenge. Jin apps me ads aate hai wo aapke mobile ki battery ko 2 hours down kar sakte hain. Ye ads aapke phone ke cpu ka istemal karte hai jisse uski performance slow ho jati hai.

Bahut se hidden ads hote hai jo aapko najar nahi aate Lekin ye aapke smartphone ke kuch hisso par effect dalte rehte hain. Isliye jaha tak ho sake aapko free apps se bachna chahiye aur apps kharidna kar upyog karne ki aadat dalni chahiye.

Laptop ki story bhi smartphone se miltijulti si hi hoi hai isliye jab bhi koi tools ka upyog kare to usko Sabse pehle apne system me hi Khoj le isse aapko internet ki jarurat bhi nahi padegi aur aapke laptop ki battery charging bani rahegi. Battery energy ko bachaye rakhne ke liye jab koi kaam nahi kar rahe ho to laptop ki WiFi ko bhi off kar dena chahiye. Laptop me text editing aur image editing ke lie bahut se tools hote hain. Agar aap video editing karna chahte hain to windows 10 me iske lie windows movie maker Microsoft soft se milta ha. Agar aap I ka istemal offline karoge to battery ko lambe time tak chala sakte hain.

Turn off Location Tracking


Bahut se aise apps hote hain jo hamari location ko track karte rahte hain. Kyunki kai app install karte samay hi humse location track karne ki permission le lete hain. WhatsApp, Facebook bhi kam nahi hai inse bhi hamari location track ho sakti hai. Facebook apps bhi humse hamari location track karne ke lie bahut bar permission mangta hai. To ye apps jo location track karte hain. inme se bahut hote hain jo hamare GPS Module ka use karke location ko jante rehte hain. Jisse battery ki bahut khapat Hoti hai.

Location Tracking ko off karne ke lie bahut si device me ye puri tarah nhi ho pata hai. Lekin phir bhi aap kar dete hain to apps run karne ke liye ise on karna bhi pad sakta hai. Agar aap bhi apne smartphone ki location tracking ko disable karna chahte hain to is simple trick ko follow kijiye.

  • Settings me jaye >> search kare “permission” >> Ab aapko App permission ka option milega>> isme jaye aur jis app Ko aap location track karne se rokna chahte hain us par tap karke location permission ko disable kar sakte hain.
  • Second trick jo sabhi jante hain. Settings me jaye >> Location Tracking ko Bilkul off kar dijiye.
  • Agar aapko location tracking ka option nahi mil raha ho to aap settings me location bhi search karke pa sakte hain.

Dear readers mujhe ummid hai ki aapko is article se bahut fayda hua hoga. Isme Maine aapko Android mobile or laptop ki battery life Ko badhane ke bare me kuch tips batayi hai. Sath me kuch security ki chhez bhi batadi hai. Agar aapko yah janakri pasand aayi ho to ise Apne mitro ke saath share kare. Agar koi confusion ho to comment box me apne questions rakh sakte hain.

Aisi New jankari apne email par pane ke lie is site me upar diye huye newsletter ko subscribe jarur kare. Good Luck !

Leave a Comment