Bhojan Karne Se Related Kuch Important Baate
Kuch logo ka manana hai ki din me 5 se 6 bar thoda-thoda khana khane se sharer swasth rehta hai.
Chahe kisi bhi kaam me deri ho jaye par hume khana time par hi khana chahiye. Ab khana khane ka time kya hona chahiye ? time aap par depend karta hai. jis time par aap khate hai daily usi time par khana khana chahiye.
Example ke liye agar subah 10 baje khana khate hain to aap daily 10 baje hi khana chahiye agar aap is time ko badalenge to aapke swathay par galat prabhav pad sakta hai.
Health expert kahte hain ki din me time-time par khana khane se sharir me maujud fat burn hoti rahti kyuki uski gati badh jati hai.
Samay-samay par kahan khane se aapki metabolism shakti badh jati hai.
Health expert kehte hain ki agar daibities ke rogi din me thoda-thoda 4 se 5 bar khana khaye to isse calori burn hone ke sath-sath blud shugar level niyantran me rehta hai.
Samay par thoda thoda khana khane se shari ko energy milti rehti hai jisse addmi kamjor nahi hota hai. duble aur patle logo ke liye din me thoda-thoda khana faydemand sabit hota hai aur mote tagde logo ke liye weight kam karne me sahayak hai. isse sharir me metabolism sthir rahta hai.isse prakiriya se aap blud shugar level ko niyantrit kar sakte hain.
- जानिए कैलुलाह करना आपकी सेहत के लिए कितना फायदेमंद है । Benefits of Mid Day Napping
Agar din me samay par khana khaya jaye to shari ko bharpur protein milta hai. lekin pehle aapko dekh lena chahiye ki aapke sharir ko din me kitni bar khane ki aavshyakta hai kyunki har aadmi ka sharir alag-alag tarah se work karta hai.
Khana kitna khana chahiye?
Bahut se logo ka manana hai ki khana bhar pet khana chahiye taki koi beemari na ho. lekin ye galat hai. kyuki bhar pet khana khane se aap apne sharir me fat badha sakte hain.aap jante hain ki aaj ke time me hum bahut kam mehnat karte hain. Office me baithne wale logo ko to bhar pet khana bilkul nahi khana chahiye.
Dusri cheez ye hai ki khana niche jameen par baith kar hi khana chahiye kursi table ka istemal nahi karna chahiye. Kyunki agar aap niche baith kar khana khayege to us samay aapki baithne mudra aasan ki mudra hogi.
khana khane me pet ke 3 hisse kar lena chahiye ek hisse me aapka khana aajyega aur dusre hisse ko pani ke liye chhod dena chahiye aur teesre hisse me oxizen ke liy jagah honi chahiye.
Note :- agar aapko pata nahi hai ki humare liye khana kaise khana chahiye aur din me kitni bar khana chahiye to kisi bhi doctor or health expert se salah lele.