Muslim logo ko Qailulah ke fayde aur iske bare me achhi tarah se pata hota hai kyonki Prophet Muhammad Sallallahu Alaihiwasallam bhi Qailulah kiya karte the aur muslimo ko isko karne ke liye bhi kaha hai. isliye bahut sare muslim log is tarike ko follow karte hain.
Dopahar Me Sone Ke Fayde Aur Nuksan
Dophar ki jhapki ko bahut se bahut se doctors ne sehat ke liye bahut faydemand bataya hai. isse imunity (रोग प्रतिरोधक शक्ति) majboot hoti hai.
-Researchers (शोधकर्ताओं) ka manna hai ki Qailulah karne se heart (दिल) se sambandhit beemari hone ki sambhawna kam hoti hai.
-Dimag (mind) fresh rehta hai aur khana achhi tarah se hajam ho jata hai.
-Blood blood circulation (रक्त परिसंचरण) niyantrit rahta hai.
-Mid-Day-Napping Se kaam me accha man lagta hai.
-Tension (तनाव) aur chidchidapan dur ho jata hai.
Dopahar me sone ka koi nuksan to nahi hai lekin bahut se aise logo ko din me sone se kuch pareshani ho sakti hai jinka sharir din me sone ko allow nahi karta.Tanav dur karne ke liye aapko stroy bhi padh leni chahiye.
- Bahut logo aise bhi hote hain jo din me sone ke karan night me neend (नींद) nahi kar pate hain. Isliye unko chahiye ki woh fix kare ki din me kitni der tak sona hai. din me jyada der sone se rat me neend nahi aati hai to din me kam sona chahiye.
Din Me Kitni Der Sona Chahiye
Sehat ki acchi tandrusti ke liye aapko din me 1-2 ghante sona chahiye lekin apne kaam ki wajah se agar aap 1 ghante bhi nahi so pate hain to aapke liye 15 se 30 minute ki jhapki le leni chahiye. 15-30 minute tak sona bhi aapke liye bahut fayda de sakta hai.agar aap bahut jyada thake huye hain aur aadha ghante sone ke bad bhi aapko neend aaye to aapko 1 hour 30 minute tak so lena chahiye. Isse aapki thakan dur ho jayegi.
Din me sone ke liye apna ek time fix kar le ki is time aapko sona hi sona hai apne sare kaam chhod kar bhi thode samay ki napping jarur puri kar le.
Mahila aur bachho ko young man se jyada neend ki jarurat hoti hai isliye khas karke mahila or bachho ko din me kam se kam 1-2 ghante sleeping kar lena chahiye.
Excersize (व्यायाम) Karne Ke Kitni Der Bad Sona Chahiye?
Excersize karne ke bad thak jana swabhawik hai lekin workout karne turant bad nahi sona chahiye. Researchers ka manna hai ki work out karne ke kam se kam 2 hours baad me sona chahiye.
Agar aapne khana khaya hai to khane ke bhi turant baad sone ki koshish na kare. Khana khane aadha ghante kam se kam 1 ghante bad aapko so jana chahiye.agar khana khane ke bad aapko neend aane lagti hai to kam se kam 30 minute ka gape rakhna jaruri hai. agar aapka sharir aaram magta hai to aapko khane ke aadha ghante bad so jana chahiye.
Kya Din Me Sona Sabhi Ke Liye Zaruri Hai ?
Bahut se log aise bhi hote hain ki unko din me sone se takleef hoti hai aur who sleep bhi nahi kar sakte hain. Yani bahut se logo ke sharir din me sone ka aadi nahi hota hai.