Amazon Se Sawadhani Purvak Shopping Kaise Kare

Amazon Se Online Shopping Kaise Kare In Hindi – Cash On Delivery. Amazon par account kaise banaye. Bahut log market ke bajaye online saaman kharidne ko jyada pasand karte hain. Jab se log internet par jyada time spend karne lage hain tab se online shopping ka jor bahut badh gaya hai. Aajkal clothes, shoes, computers, laptop, other Electric item ko bahut se log apne ghar baithe mangwa lete hain. Because ye unke liye easy padta hai. Aapne bhi bahut si cheez online buy ki hongi. Leking bahut se logo ko iske bare me pata nahi hai aur wo iske bare me jankari lena chahte hain aur kai bar aisa bhi hota hai ki janne ke bavjood bhi unke saamne bahut si problem ajati hai. Isliye main aapko Amzon se koi bhi cheez purchase karne ke bare me bataunga.

Dosto Amazon bahut badi online company hai jo pure world me popular hai. Amazon ki india me bhi bahut badi sell hoti hai. Amazon ki COD (cash on delivery) ki suvidha india me lagbhag har jaga hai. Lekin kuch jagho par amazon ki COD suvidha uplabdh nahi hai. Amazon ke Bahut se latest product aise hote hain ki jinke liye COD facility nahi deta hai. Amazon world ki largest e-commerce company hai isliye lagbhag sabhi jagah par iski cash on delivery facility available hoti hai. But ho sakta hai bahut si location par aapko ye facility available na ho.

Amazon online shopping ke mamle me trust company hai. Is par milne wale reviews jyadatar original customers ke hote hain. Because amazon fake reviews ke khilaf hai. Kuch year pehle amazon ne fake customers jo paid reviews dete hain unki alochana ki thi. Isliye amazon par dhokadhadi wala cases bahut kam milte hain. Maine bhi amazon se bahut se item buy kiye hain aur mujhe unse koi bhi shikayat nahi hai.

Dosto aapko ek bat aur batana chahunga ki jab bhi aap online shopping kare to customers ke reviews par bharosa na kare. Agar aapko reviews ko dekhkar hi shopping karni hai to pehle review dene wale customer ki pehchan kar le ki wo farji to nahi hai. Fake reviews ka kaise pata lagaye iske bare me main aapko bata raha hu.

Shopping Sites Par Fake Reviews & Customers Ka Kaise Pata Lagaye

Aaj ke is internet ke daur me hum bahut saari cheeje online kharidte hain. Aajkal online sabkuch milta hai. Lekin is sabkuch me bahut milavati bhi milta hai yani bahut kuch fake aur farji hota hai. Jiske bare me users ko malum nahi hota hai aur sasti aur original cheej samajhkar dhoke ka shikar ho jate hain. Bahut se users ko fasaya jata hai bahut se aise log hote hain jo paiso ke liye bekar cheejo ko recommend karte hain. Aaj hum isi topic par baat karenge aap post ko follow kijiye.

Bahut se log internet par online cheejo ko badha-chadha kar batate hain jinke unko paise milte hain aur isme bahut bada haath unki companies ka hota hai jo unko paise deti hain. Aapne online shopping sites par dekha hoga ki kisi ek aadmi ke naam se bahut se review hote hain jo company ke product ki sifarish ke bare me hote hain. Jisse users unke product ko buy kare aur use kare. Ye ek tarah se Internet fraud karne jaisa hi hai.

Aisa kai bar hota hai ki users chalbaaj logo ke bahkave me aakar bekar cheej ko kharid lete hain aur chaalbaaj bhi jyadatar aam log hi hote hain . Isi tarah alag-alag sites par apne followers banaye jate hain. Jo launchzon aur fiverr jaisi sites par sign up kiye huye hote hain.

Bahut si aisi sites hain jin par aap tab tak kuch bhi post nahi kar sakte jab tak unke store se koi product na kharid le. Aisi hi ek site hai amzon jisne farzi sifarish karne walon ki alochana ki thi. Jo review farzi hote hain wo paid review kahlate hain jo paise dekar post karaye jate hain.

Agar aap farzi review ke bare me janana chahte hain to review karne wale ke name par click kare . agar uske sabhi review me kahi gayi baate milti julti ho to samajh le ki vah farzi hai. Yadi aap farzi review ke bare me gahrayi se janana chahte hain to us page ke url ko fakespot.com par post kare. Is site par language aur review ki janch-parakh ki jati hai. Yah detail se batati hai ki sifarish sahi ya farzi hai. But fakespot humesha sahi nahi hoti hai. Lekin isse hum idea laga sakte hain ki kitna sahi hai aur kitna farzi hai. Aap apne chrome browser aur firefox browser me fakespot ke extaintion lagana chahte hain to iske extaintion bhi add kar sakte hain.

Online Shopping Karne Ke Fayde

Sabse pehla fayda ye hai ki hume ghar baithe product mil jata hai or hume market nahi jana padta hai.

Dusra fayda ye hai ki humara time bach jata hai.

Teesra fayda ye hai ki isme hume paise doob jane ka dar nahi rahta hai kyonki product milne ke bad hi hume payment karna hota hai.

Sabse badhiya fayda ye hai ki ye company hume offers deti hain. Jinme hume bahut discount milta hai .

Iske alawa bahut se offers hume aise bhi milte hain jinme cash back discount milta hai.

Kai bar shopping company ke dwara hume product ke saath gift bhi milta hai.

Festivals like Diwali, Holi, Rakhi etc. aur company seejan par hume product par big discount mil jata hai. Jisse hume product sasta pad jata hai.

Amazon Website Se Online Shopping Kaise Kare – Create Account
Step: 1. Sabse pehle is link par click karke amazon website par jaye
Ab aapke samne amazon ka homepage open hoga isme “Hello Sign in” par click kare

Step: 2. Agar aapne pehle se amazon account banaya hua hai to login ho jaye agar nahi banaya hai to ye step follow kare.
Ab aapke samne amazon ka login page khul jayega

Create Your Amazon Account par click kare

Step: 3. ab aapke saamne ek aisi window open hogi

1. Your name : is field me apna pura name bhare

2. Mobile Number: is field me apna mobile number bhare

3. Email address (optional) : isme apna email id bhare, ye optional hai aap chahe to ise khali chhod sakte hain.

4. Password: isme badhiya sa Strong password bana kare bhare

5. Pura bharne ke bad continue par click kare

Step: 4. Continue par click karne ke bad aapke mobile par ek verification code aayega

1. Isme us code ko dale jo aapke mobile number par massage me aaya hai.
2. Iske bad verify par click kare

Congratulations ! ab aapka amazon account shopping karne ke liye ready hai.

Online Shopping Kaise Kare In Hindi
Sabse pehle apne amazon account par login ho jaye

Login hone ke bad aapke samne amazon ka page open ho jayega

1. Ab jo bhi product aap kharidna chahte hain is search box me uska name dal kar search kare

2. Shop by category par click karke aap category ke hisab se item chhant kar buy kar sakte hain
Yaha par click kar bhi aap jis category ka product kharidna chahte hain usko choose kar sakte hain.

Ab jo product pasand aajaye us par click kare

Aur uske bare me puri jankari lekar like kitne reviews hai, item ka price Rs. Kya hai, kis company ka hai, aapki location ka zip code (pincode) dal kar dekhe ki aapki location par cash on delivery facility available hai ya nahi. Ye sari cheez dekhne ke bad product ka order karde.

Agar aap apne Atm (debit card) netbanking etc. se payment karna chahte hain to aap kar sakte hain. Amazon apne customers ko 100% purchase protection deta hai. Jisse aapke personal information chori hone ka khatra kam ho jata hai. So main aapko suggest karunga ki aap cash on delivery option ko chune. Ek baat aur batana chahunga ki aapki privacy aapke haath me hai aap apni personal information ko kisi bhi aadmi ke sath share na kar. Agar aapko online shopping karni hai to khud kare kisi ko bhi apne account ka username password na bataye.

Amazon App Se Shopping
Dosto upar maine amazon site se shopping karne ke bare me bataya hai agar aap amazon app se shopping karna chahte hain to ye bilkul simple hai.
Sabse pehle apne mobile me play store ya amazon website se amazon app download kar le
Uske bad amazon app par apna mobile number aur email address dal kar account create kare
Iske bad agar aap kisi bhi product ka order karna chahte hain to easily amazon shopping site ke app se kar sakte hai.

I hope ki aapko meri batayi jankari acchi tarah samajh aagayi hogi agar phir bhi koi sawal hai to aap comment me puch sakte hain. Dosto agar aapko ye post pasand aayi ho aur isse aapko kuch fayda hua ho to ise facebook, twitter, other social media par share karke humari help kare.

Leave a Comment