Aajkal to humare desh ke neta bhi free wifi uplabdh karane ki bat kar rahe hain. Bahut si poltical party voting ke liye bhi wifi suvidha free me dene ki baate karti hain. Iske alawa railway station par bhi wifi suvidha uplabdh karne ki bate ki ja rahi kyuki isse train me yatra karne wale yatriyon ko wifi suvidha mil sake. Is generation me lagbhag sabhi internet chalne lag gaye hain. Jio ke free plans or offers ne logo ke andar internet ka chaska paida kar diya hai. Ab to gaon me bhi wifi or net suvidha uplabdh ho gayi hai. Lekin samasya ye hai ki wifi speed ab bhi kamjor hai. Wifi ki speed ko lekar log bahut pareshan rehte hain.
Agar aapke ghar me wifi connection hai to jaruri nahi hai ki pure ghar walo ko wo wifi available ho jaye. Market mei bahut se device aise aa gaye hain jo wifi speed ko badhane ka dava karte hain. Jo kehte hain ki aapke computer or mobile laptop ko puri wifi mil sakegi. Inko kai name se jana jata hai jaise ki wifi wireless, repeater, signal amplifier, range extender, TENDA etc. Ye speed badhane ka kaam karte hain. Bahut se technology visheshagay inki sifarish bhi karte hain ki ye signal badhane ka ek asthayi tarika hai. Iski bajaye to aapko new connection le lena chahiye aur badhiya router kharid lena chahiye.
Yaha par mei aapko kuch babhiya booster ke bare me bata rha hu jo aapki wifi speed ko badhane me aapki madad karenge. Jo aapko complete signal de sakte hain. Kisi bhi router or repeater ki help se badhiya coverage receive karne ke liye jaruri hai ki uska setup accha ho yani apko use ghar me aisi jagah par lagana chahiye jaha se aapke pure ghar ya office me barabar signal mil sake. Jankaro ke anusar zone one closet hota hai iska dayra lagbhag 15 feet tak rehta hai. Is dayre ke andar aapko pure signal milenge. Iske aaspas 15 se 30 feet se bahar tak ka aria median zone kahlata hai. Yahan tak wifi speed kam ho jati hai. Agar aap is mediam zone aria me aajte hain to speed aadhi reh jati hai. Isse aage ka 30 se 40 feet ka aria dead zone kahlata hai agar aap is aria me aajate hain to yaha par aapko speed na ke barabar milegi.
Isliye aapko setup aise karna chahiye ki aapke office ya ghar ka koi bhi hissa dead zone me na aaye. Isliye aapko apne ghar ke center me hi setup lagana chahiye jisse aapke ghar me sabhi jagah par signal aasani se pahunch jaye. Ab hum main topic par aate hain ki konsa repeater behtar hai jo accha chal sake. Market me sabse acche device ye hain.
TP-LINK-860, D-LINK, DIR-816 Dap-1620, NETGEAR WN3000RP ye repeater bahut badhiya hai inko aap istemal kar sakte hain ye aapko duguni speed de sakte hain. Inme se NETGEAR WN3000RP size me in sab me se chhota hai but isme khas baat ye hai ki isme signal ki strength batane ka ek indicator laga hota hai. Isse apko pata lag jayega ki jis jagah par usko lagaya hai waha par signal kitne aa rahe hain. Is khas indicator ki wajah se aap ise khud bhi set kar sakte hain. Repeater ko us jagah par laga de jaha par signal badhya aa jaye. ab jaha par signal strength thik thak aa jaye uske just aage usko laga de kyuki uske agle wale hisse me speed increase ho jati hai.
Agar aap inme se badhiya booster choose karna chahte hain to market me D-LINK DAP-1620 sabse badhiya hai. Kyoki isme double band capability hoti hai jiski help se yah signal strength ko itna increase kar deta hai aap computer ke sath mobile aur anya device par net use kar sakte hain aur in sab me aapko barabar speed milegi. Is me ek entina bhi hota hai jo range ko apni taraf kheeta hai. Baki sabhi se badhiya hone ke karan iski price thodi mehngi hai lekin me aapko iske liye hi suggest karunga.
Iske alwa agar aap badhiya performance aur thodi kam price wala koi booster kharidna chahte hain aapke liye DG-WR3001N behtar rahega. Ye aapko kam budget me mil jayega. Iske features ki bat kare to ye dusre range booster se kam nahi hai. Ye bhi aapke kaam ko acche tarike se chala sakta hai. Upar maine aapko zone ke bare me bataya tha. Iske liye zone ki bat kare to yeh zone one aur mediam zone me iski speed acchi khasi mil jati hai. Isse aur acchi speed chahte hain to aapko TP-LINK RE 200 ko use karna chahiye maine dekha hai ki bahut se cyber cafe aur E-mitra or office me isko hi istemal kiya jata hai aur ye hai bhi badhiya. Iski speed bahut shandar hai. Isliye log ise lena bahut pasand karte hain. Agar aap acchi speed lena chahte hain to aapko ise lene koi pareshani bhi nahi honi chahiye kyoki wifi ki speed badhani hai to hume kuch to karna padega hi.
Ab aapko khud faisla kar lena chahiye ki aapke hisab se aapke liye kaunsa wif range booster badhiya rahega jo speed ko badha sake. Agar aapko ye jankari behtar lagi to ise share karke dusre logo tak pahunchaye humari site par aisi aur post padhne ke liye site ko subscribe kar le.Good Luck!